mujhse ek ik qadam par bichhaDta hua kaun tha
mujhse ek ik qadam par bichhaDta hua kaun tha
Rajinder Manchanda Bani
MORE BYRajinder Manchanda Bani
mujh se ik ik qadam par bichhaḌtā huā kaun thā
saath mere mujhe kyā ḳhabar dūsrā kaun thā
tā-ba-manzil ye bikhrī huī gard-e-pā kis kī hai
ai barābar qadam dosto vo judā kaun thā
jaane kis ḳhatre ne baḳhsh dī sab ko ham-sā.egī
varna ik dūsre se yahāñ āshnā kaun thā
pahle kis kī nazar meñ ḳhazāne the us paar ke
misl mere hadoñ se udhar dekhtā kaun thā
kaun thā mausam-e-sāf bhī jis ko aayā na raas
kuchh to ham se kaho vo halāk-e-havā kaun thā
kaun thā mere par taulne par nazar jis kī thī
jis ne sar par mire āsmāñ rakh diyā kaun thā
kis kī bhīgī sadā jhāñktī thī mirī ḳhaak se
maiñ thā apnā khañDar is meñ mere sivā kaun thā
kaun thā qā.il-e-qahr honā thā jis ko abhī
TuuT kar jis pe barsī bhayānak ghaTā kaun thā
mujh se ek ek qadam par bichhaDta hua kaun tha
sath mere mujhe kya KHabar dusra kaun tha
ta-ba-manzil ye bikhri hui gard-e-pa kis ki hai
ai barabar qadam dosto wo juda kaun tha
jaane kis KHatre ne baKHsh di sab ko ham-saegi
warna ek dusre se yahan aashna kaun tha
pahle kis ki nazar mein KHazane the us par ke
misl mere hadon se udhar dekhta kaun tha
kaun tha mausam-e-saf bhi jis ko aaya na ras
kuchh to hum se kaho wo halak-e-hawa kaun tha
kaun tha mere par taulne par nazar jis ki thi
jis ne sar par mere aasman rakh diya kaun tha
kis ki bhigi sada jhankti thi meri KHak se
main tha apna khanDar is mein mere siwa kaun tha
kaun tha qail-e-qahr hona tha jis ko abhi
TuT kar jis pe barsi bhayanak ghaTa kaun tha
- Book : Kulliyat-e-bani (Pg. 64)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.