mujhse kam-kosh ko be-kar ulaT jati hai
mujh se kam-kosh ko be-kār ulaT jaatī hai
jab vo sayyāroñ kī raftār ulaT jaatī hai
aa.ina piir hai shamshīr-zanī meñ us kā
us se laḌtā huuñ to talvār ulaT jaatī hai
itnā itrā na tū ḳhud jins kī zebā.ish par
vo binā dekhe hī bāzār ulaT jaatī hai
ek hai ghaav jo talvār ko khā jaatā hai
ek hai naav jo mañjdhār ulaT jaatī hai
chhābḌe sar se luḌhak jaate haiñ shahtūt bhare
vo jhalak hāsil-e-ashjār ulaT jaatī hai
maiñ ne yāroñ ko thamā dī hai ye duniyā-dārī
mere hāthoñ se ye har baar ulaT jaatī hai
ḳhauf ko sar pe savārī nahīñ karne denā
saa.e ke bojh se dīvār ulaT jaatī hai
mujh se kam-kosh ko be-kar ulaT jati hai
jab wo sayyaron ki raftar ulaT jati hai
aaina pir hai shamshir-zani mein us ka
us se laDta hun to talwar ulaT jati hai
itna itra na tu KHud jins ki zebaish par
wo bina dekhe hi bazar ulaT jati hai
ek hai ghaw jo talwar ko kha jata hai
ek hai naw jo manjdhaar ulaT jati hai
chhabDe sar se luDhak jate hain shahtut bhare
wo jhalak hasil-e-ashjar ulaT jati hai
main ne yaron ko thama di hai ye duniya-dari
mere hathon se ye har bar ulaT jati hai
KHauf ko sar pe sawari nahin karne dena
sae ke bojh se diwar ulaT jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.