mujhse kya aur ab aaKHir ye hawa chahti hai
mujh se kyā aur ab āḳhir ye havā chāhtī hai
ek dīvār thī so vo bhī girā chāhtī hai
mausam-e-gul meñ salāmat rahe dāman yā-rab
phir koī taaza kalī dil meñ khilā chāhtī hai
terī sūrat ho samā.at meñ numāyāñ jis se
ḳhāmushī apnī vahī rang-e-sadā chāhtī hai
maiñ ki Dartā huuñ bahut raat ke sannāTe se
aur vahshat hai ki ab dar bhī khulā chāhtī hai
jis kī daulat se ham aksar tujhe pā lete the
dil kī chhoTī sī nishānī vo miTā chāhtī hai
mujh se kya aur ab aaKHir ye hawa chahti hai
ek diwar thi so wo bhi gira chahti hai
mausam-e-gul mein salamat rahe daman ya-rab
phir koi taza kali dil mein khila chahti hai
teri surat ho samaat mein numayan jis se
KHamushi apni wahi rang-e-sada chahti hai
main ki Darta hun bahut raat ke sannaTe se
aur wahshat hai ki ab dar bhi khula chahti hai
jis ki daulat se hum aksar tujhe pa lete the
dil ki chhoTi si nishani wo miTa chahti hai
- Book : غبار حیرانی (Pg. 45)
- Author : احمد محفوظ
- Publication : ایم۔آر پبلی کیشنز (2022)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.