mujhse milta tha wo barsat mein jugnu ki tarah
mujh se miltā thā vo barsāt meñ jugnū kī tarah
bujh bhī jaatā thā mire haat meñ jugnū kī tarah
maiñ ne din meñ to use der talak DhūñDā thā
vo nazar aaya mujhe raat meñ jugnū kī tarah
TimTimāne kī adā us kī chamakne kā fusūñ
mujh ko bhaTkā.e ḳhayālāt meñ jugnū kī tarah
kyoñ ujāloñ meñ hai be-nūr añdheroñ kī ziyā
yuuñ hī uljhāyā savālāt meñ jugnū kī tarah
tū bhī bujh jaa.e tamāzat meñ na din kī ab ke
chhūī-mūī hai mulāqāt meñ jugnū kī tarah
zindagī merī bahut kam sahī nāyāb to hai
maiñ ki jiitā huuñ mirī zaat meñ jugnū kī tarah
harz-e-jāñ maiñ ne banāyā hai tujhe tīra-shabī
maiñ nahīñ rahtā tirī ghaat meñ jugnū kī tarah
dekhiye kab mujhe miltī hai ujāloñ se najāt
abhī Duubā huuñ maiñ zulmāt meñ jugnū kī tarah
kaam ā.ūñgā maiñ har shai ke ‘muzaffar-īraj'
tū bhī rah apnī hī auqāt meñ jugnū kī tarah
mujh se milta tha wo barsat mein jugnu ki tarah
bujh bhi jata tha mere hat mein jugnu ki tarah
main ne din mein to use der talak DhunDa tha
wo nazar aaya mujhe raat mein jugnu ki tarah
TimTimane ki ada us ki chamakne ka fusun
mujh ko bhaTkae KHayalat mein jugnu ki tarah
kyon ujalon mein hai be-nur andheron ki ziya
yun hi uljhaya sawalat mein jugnu ki tarah
tu bhi bujh jae tamazat mein na din ki ab ke
chhui-mui hai mulaqat mein jugnu ki tarah
zindagi meri bahut kam sahi nayab to hai
main ki jita hun meri zat mein jugnu ki tarah
harz-e-jaan main ne banaya hai tujhe tira-shabi
main nahin rahta teri ghat mein jugnu ki tarah
dekhiye kab mujhe milti hai ujalon se najat
abhi Duba hun main zulmat mein jugnu ki tarah
kaam aaunga main har shai ke ‘muzaffar-iraj'
tu bhi rah apni hi auqat mein jugnu ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.