mujhse waqif to mere jism ka saya bhi na tha
mujh se vāqif to mire jism kā saayā bhī na thā
kaise ho jaatā tumhārā maiñ ḳhud apnā bhī na thā
jitnā māyūs hai vo shaḳhs bichhaḌ kar mujh se
utnī shiddat se to maiñ ne use chāhā bhī na thā
chand lamhoñ kī rifāqat hī bahut thī ai dost
is se baḌh kar to koī aur taqāzā bhī na thā
jaise ilzām lagā.e haiñ mire sar us ne
aisī nazroñ se to maiñ ne use dekhā bhī na thā
tū bhī ġhairoñ kā sā bartāv karegā mujh se
maiñ ne aisā to kisī haal meñ sochā bhī na thā
mujh se waqif to mere jism ka saya bhi na tha
kaise ho jata tumhaara main KHud apna bhi na tha
jitna mayus hai wo shaKHs bichhaD kar mujh se
utni shiddat se to main ne use chaha bhi na tha
chand lamhon ki rifaqat hi bahut thi ai dost
is se baDh kar to koi aur taqaza bhi na tha
jaise ilzam lagae hain mere sar us ne
aisi nazron se to main ne use dekha bhi na tha
tu bhi ghairon ka sa bartaw karega mujh se
main ne aisa to kisi haal mein socha bhi na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.