mujhe ab havā-e-chaman nahīñ ki qafas meñ guuna qarār hai
ye to pichhle saal jo aa.ī thī vahī chaar din kī bahār hai
haiñ jigar meñ daaġh lahū hai dil haiñ tar āñkheñ siina figār hai
yahī rañg-o-bū yahī fasl-e-gul yahī be-kasoñ kī bahār hai
koī hasb-e-hāl ḳhitāb ho mire dil ko dil na kahā karo
use kyuuñ bahār kā naam do jo ḳhizāñ nasīb-e-bahār hai
haiñ payām-e-āmad-e-shām-e-ġham ruḳh-e-āftāb kī zardiyāñ
ye tamām din to kuchh aur thā magar ab charāġh-e-mazār hai
jo guloñ ne chehre pe mal liyā jo kalī ne maañg meñ bhar liyā
vo ghaḌī bhī aa.egī dekhnā yahī rañg ḳhūn-e-bahār he
faqat ek ḳhaak kā Dher hai ye baġhaur dekh rahe ho kyā
sar-e-lauh likkhā huā hai kuchh chalo bhī kisī kā mazār hai
jo tire pasīne kī bū na de to kuchh aur hai gul-e-tar nahīñ
jo taḌap na de tire husn kī vo bahār nañg-e-bahār hai
ye maqām-e-ishq hai kaun sā ye haiñ kaisī sabr kī manzileñ
na taḌap hai dil meñ na dard hai na sukūn hai na qarār hai
ye sadā to hai vahī dukh bharī mire kaan jis se haiñ āshnā
zarā chup raho mujhe sunñe do ye to mere dil kī pukār hai
tire dil kī bhī na kalī khile tire haath TūTeñ ḳhudā kare
jise toḌe letā hai bāġhbāñ yahī phuul jān-e-bahār hai
ye ajab masarrat-e-ishq hai jo ik ashk ban ke Tapak paḌī
ye 'sirāj' merā nasīb hai ki ḳhushī bhī ġham-ba-kanār hai
mujhe ab hawa-e-chaman nahin ki qafas mein guna qarar hai
ye to pichhle sal jo aai thi wahi chaar din ki bahaar hai
hain jigar mein dagh lahu hai dil hain tar aankhen sina figar hai
yahi rang-o-bu yahi fasl-e-gul yahi be-kason ki bahaar hai
koi hasb-e-haal KHitab ho mere dil ko dil na kaha karo
use kyun bahaar ka nam do jo KHizan nasib-e-bahaar hai
hain payam-e-amad-e-sham-e-gham ruKH-e-aftab ki zardiyan
ye tamam din to kuchh aur tha magar ab charagh-e-mazar hai
jo gulon ne chehre pe mal liya jo kali ne mang mein bhar liya
wo ghaDi bhi aaegi dekhna yahi rang KHun-e-bahaar he
faqat ek KHak ka Dher hai ye baghaur dekh rahe ho kya
sar-e-lauh likkha hua hai kuchh chalo bhi kisi ka mazar hai
jo tere pasine ki bu na de to kuchh aur hai gul-e-tar nahin
jo taDap na de tere husn ki wo bahaar nang-e-bahaar hai
ye maqam-e-ishq hai kaun sa ye hain kaisi sabr ki manzilen
na taDap hai dil mein na dard hai na sukun hai na qarar hai
ye sada to hai wahi dukh bhari mere kan jis se hain aashna
zara chup raho mujhe sunne do ye to mere dil ki pukar hai
tere dil ki bhi na kali khile tere hath TuTen KHuda kare
jise toDe leta hai baghban yahi phul jaan-e-bahaar hai
ye ajab masarrat-e-ishq hai jo ek ashk ban ke Tapak paDi
ye 'siraj' mera nasib hai ki KHushi bhi gham-ba-kanar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.