mujhe apne hi andar chor sa mahsus hota hai
mujhe apne hī andar chor sā mahsūs hotā hai
tujhe dekhūñ to koī dekhtā mahsūs hotā hai
tahayyur kā ye 'ālam hai ki jis ko dekh kar guzreñ
palaT ke dekhiye to dūsrā mahsūs hotā hai
maiñ andar se bahut ḳhālī huuñ lekin tum bhī sachche ho
ki merā jism bāhar se bharā mahsūs hotā hai
mire andar kisī shai ne bahut halchal machā.ī hai
jahāñ bhī baiThtā huuñ zalzala mahsūs hotā hai
magar ik 'umr lagtī hai yahāñ tak aane meñ sāhib
jahāñ nuqsān meñ bhī fā.eda mahsūs hotā hai
na jaane 'ishq kī ab kaun sī manzil pe faa.ez huuñ
jahāñ maiñ huuñ vahāñ 'faisal' ḳhudā mahsūs hotā hai
mujhe apne hi andar chor sa mahsus hota hai
tujhe dekhun to koi dekhta mahsus hota hai
tahayyur ka ye 'alam hai ki jis ko dekh kar guzren
palaT ke dekhiye to dusra mahsus hota hai
main andar se bahut KHali hun lekin tum bhi sachche ho
ki mera jism bahar se bhara mahsus hota hai
mere andar kisi shai ne bahut halchal machai hai
jahan bhi baiThta hun zalzala mahsus hota hai
magar ek 'umr lagti hai yahan tak aane mein sahib
jahan nuqsan mein bhi faeda mahsus hota hai
na jaane 'ishq ki ab kaun si manzil pe faez hun
jahan main hun wahan 'faisal' KHuda mahsus hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.