mujhe apni sarhad-e-ruh mein kisi ma-siwa ki talash hai
mujhe apnī sarhad-e-rūh meñ kisī mā-sivā kī talāsh hai
jo nafas nafas meñ hai maujzan usī ham-navā kī talāsh hai
tire saath merā vajūd ho pas-e-parda raqs-o-surūd ho
jahāñ do diloñ kī numūd ho mujhe us fazā kī talāsh hai
tū usūl-e-ishq pe lab-kushā maiñ kamāl-e-ishq pe harf-zan
tujhe ibtidā kī hai justujū mujhe intihā kī talāsh hai
shab-o-roz se mujhe rabt kyā mah-o-mehr se mujhe kyā ġharaz
mah-o-mehr jis se bane usī ruḳh-e-pur-ziyā kī talāsh hai
mujhe maut de to kuchh aisī de jo hayāt ban ke ubhar sake
jo baqā ke ruup meñ Dhal sake mujhe us fanā kī talāsh hai
mujhe koī fikr nahīñ 'muhib' ki mirī panāh meñ hai vafā
jo vafā-shi.ār nahīñ use ravish-e-vafā kī talāsh hai
mujhe apni sarhad-e-ruh mein kisi ma-siwa ki talash hai
jo nafas nafas mein hai maujzan usi ham-nawa ki talash hai
tere sath mera wajud ho pas-e-parda raqs-o-surud ho
jahan do dilon ki numud ho mujhe us faza ki talash hai
tu usul-e-ishq pe lab-kusha main kamal-e-ishq pe harf-zan
tujhe ibtida ki hai justuju mujhe intiha ki talash hai
shab-o-roz se mujhe rabt kya mah-o-mehr se mujhe kya gharaz
mah-o-mehr jis se bane usi ruKH-e-pur-ziya ki talash hai
mujhe maut de to kuchh aisi de jo hayat ban ke ubhar sake
jo baqa ke rup mein Dhal sake mujhe us fana ki talash hai
mujhe koi fikr nahin 'muhib' ki meri panah mein hai wafa
jo wafa-shiar nahin use rawish-e-wafa ki talash hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.