mujhe aziz bahut tha jo ham-suKHan mera
mujhe aziiz bahut thā jo ham-suḳhan merā
usī ne pheñk diyā dhartī par gagan merā
maiñ ḳhud ko dekh rahā huuñ baḌe ta.ajjub se
paḌā huā hai mire sāmne badan merā
uThā na paayā qadam bāvajūd-e-koshish ke
mazāq uḌātī rahī rāt-bhar thakan merā
qarīb thā ki mirī ruuh tak jhulas jaatī
qarīb thā ki koī nochtā badan merā
Dare Dare haiñ sabhī phuul is añdhere se
hisār-e-shab meñ muqayyad hai ye chaman merā
tirī talāsh meñ jab jism thak ke girtā hai
ḳhayāl rahtā hai phir bhī ye gāmzan merā
paḌā huā hai mirā jism kab se miTTī par
chalā gayā hai kahāñ jaane gorkan merā
tumhāre baa'd rahā huuñ maiñ dhuup chhāñv meñ
nabūd-o-būd meñ jiinā huā kaThin merā
mujhe aziz bahut tha jo ham-suKHan mera
usi ne phenk diya dharti par gagan mera
main KHud ko dekh raha hun baDe tajjub se
paDa hua hai mere samne badan mera
uTha na paya qadam bawajud-e-koshish ke
mazaq uDati rahi raat-bhar thakan mera
qarib tha ki meri ruh tak jhulas jati
qarib tha ki koi nochta badan mera
Dare Dare hain sabhi phul is andhere se
hisar-e-shab mein muqayyad hai ye chaman mera
teri talash mein jab jism thak ke girta hai
KHayal rahta hai phir bhi ye gamzan mera
paDa hua hai mera jism kab se miTTi par
chala gaya hai kahan jaane gorkan mera
tumhaare ba'd raha hun main dhup chhanw mein
nabud-o-bud mein jina hua kaThin mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.