mujhe bhi apna sharik-e-safar shumar karo
mujhe bhī apnā sharīk-e-safar shumār karo
sahar ke bujhte diyo merā intizār karo
hamārā zauq-e-numū kyā shikasta shīshe haiñ
ham ā.inoñ ko atā parda-e-ġhubār karo
hamāre ashkoñ kī me.arāj apne dāman tak
tum apnī pākī-e-dāmāñ kā e'tibār karo
chhupā.e jaao yūñhī daaġh daaġh sīnoñ ko
ḳhayāl-e-bekasī-e-ismat-e-bahār karo
na do duā-e-ḳhirad mujh ko ḳhair-andesho
jo kar sako to mirī vahshatoñ se pyaar karo
phir aaj ishq 'musavvir' huā hai ḳhāk-basar
phir ehtimām-e-urūj-e-salīb-o-dār karo
mujhe bhi apna sharik-e-safar shumar karo
sahar ke bujhte diyo mera intizar karo
hamara zauq-e-numu kya shikasta shishe hain
hum aainon ko ata parda-e-ghubar karo
hamare ashkon ki mearaj apne daman tak
tum apni paki-e-daman ka e'tibar karo
chhupae jao yunhi dagh dagh sinon ko
KHayal-e-bekasi-e-ismat-e-bahaar karo
na do dua-e-KHirad mujh ko KHair-andesho
jo kar sako to meri wahshaton se pyar karo
phir aaj ishq 'musawwir' hua hai KHak-basar
phir ehtimam-e-uruj-e-salib-o-dar karo
- Book : Manghii dhire chal (Pg. 27)
- Author : Musavvir Sabzwari
- Publication : Nazish Book Center (1971)
- Edition : 1971
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.