mujhe bhi jine ka ehsas ab zara ho jae
mujhe bhī jiine kā ehsās ab zarā ho jaa.e
kabhī nikāl lo fursat to ratjagā ho jaa.e
na aarzū na ḳhalish kuchh nahīñ kisī dil meñ
nigāh bhar ke jise dekh lo tirā ho jaa.e
rahe jo duur to kyā kyā sharārteñ us kī
kabhī qarīb se guzre to dūsrā ho jaa.e
mirā na ho na sahī mere rū-ba-rū to rahe
vajūd merā kisī taur aa.ina ho jaa.e
mire usuul mirī raah rok lete haiñ
ojab nahīñ ki chalūñ aur rāsta ho jaa.e
mujhe bhi jine ka ehsas ab zara ho jae
kabhi nikal lo fursat to ratjaga ho jae
na aarzu na KHalish kuchh nahin kisi dil mein
nigah bhar ke jise dekh lo tera ho jae
rahe jo dur to kya kya shararten us ki
kabhi qarib se guzre to dusra ho jae
mera na ho na sahi mere ru-ba-ru to rahe
wajud mera kisi taur aaina ho jae
mere usul meri rah rok lete hain
ojab nahin ki chalun aur rasta ho jae
- Book : مرے تصور میں رنگ بھردو (Pg. 68)
- Author : بسمل عارفی
- Publication : نور پبلی کیشن، دریا گنج،نئی دہلی (2019)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.