mujhe bhul jaane wale teri be-ruKHi salamat
mujhe bhuul jaane vaale tirī be-ruḳhī salāmat
ġham-e-ishq dene vaale tirī zindagī salāmat
tirī yaad jab bhī aa.ī mire dil ne ye duā dī
tū rahe jahāñ meñ shādāñ tirī har ḳhushī salāmat
jo tirī nazar ne baḳhshī thī ḳhalish mire jigar ko
hai ḳhudā gavāh merā vo hai aaj bhī salāmat
mire āñsuoñ kā tūfāñ na rukā na ruk sakegā
tire dard ne jo baḳhshī hai vo bekalī salāmat
mirā ghar balā se raushan na huā to us kā kyā ġham
mire chāñd tā-abad tū tirī chāñdnī salāmat
mirī dāstān-e-ulfat jo sunī to hañs ke bole
hai mire hī ġham ke sadqe tirī shā.irī salāmat
tire girya hī ne 'shabnam' hai Duboī terī kashtī
ki vo sāhil-e-baqā tak na pahuñch sakī salāmat
mujhe bhul jaane wale teri be-ruKHi salamat
gham-e-ishq dene wale teri zindagi salamat
teri yaad jab bhi aai mere dil ne ye dua di
tu rahe jahan mein shadan teri har KHushi salamat
jo teri nazar ne baKHshi thi KHalish mere jigar ko
hai KHuda gawah mera wo hai aaj bhi salamat
mere aansuon ka tufan na ruka na ruk sakega
tere dard ne jo baKHshi hai wo bekali salamat
mera ghar bala se raushan na hua to us ka kya gham
mere chand ta-abad tu teri chandni salamat
meri dastan-e-ulfat jo suni to hans ke bole
hai mere hi gham ke sadqe teri shairi salamat
tere girya hi ne 'shabnam' hai Duboi teri kashti
ki wo sahil-e-baqa tak na pahunch saki salamat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.