mujhe chaman mein gulon se teri siyah zulfon ki bas aai
mujhe chaman meñ guloñ se terī siyāh zulfoñ kī baas aa.ī
bhulā chukā thā jise mirā dil vo yaad phir dil ke paas aa.ī
hai kaj-adā.ī kā terī charchā zamāne bhar meñ ai jān-e-jānāñ
sabā bhī terī galī se lauTī to dil-shikasta udaas aa.ī
pilā na saaqī tū ḳhum se apne ki tishnagī ye ajiib sī hai
nazar ke sāġhar se hī bujhegī jo aaj hoñToñ pe pyaas aa.ī
na be-vafā.ī kā tum se shikva gila na apne nasīb se hai
mujhe hī taur-e-vafā na aaya mujhe mohabbat na raas aa.ī
bigāḌ paa.e na dasht-o-sahrā junūn-o-vahshat kā kuchh bhī 'shaukat'
magar vahāñ jab ḳhirad ga.ī to gañvā ke hosh-o-havās aa.ī
mujhe chaman mein gulon se teri siyah zulfon ki bas aai
bhula chuka tha jise mera dil wo yaad phir dil ke pas aai
hai kaj-adai ka teri charcha zamane bhar mein ai jaan-e-jaanan
saba bhi teri gali se lauTi to dil-shikasta udas aai
pila na saqi tu KHum se apne ki tishnagi ye ajib si hai
nazar ke saghar se hi bujhegi jo aaj honTon pe pyas aai
na be-wafai ka tum se shikwa gila na apne nasib se hai
mujhe hi taur-e-wafa na aaya mujhe mohabbat na ras aai
bigaD pae na dasht-o-sahra junun-o-wahshat ka kuchh bhi 'shaukat'
magar wahan jab KHirad gai to ganwa ke hosh-o-hawas aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.