mujhe dil ke arman se fursat nahin
mujhe dil ke armāñ se fursat nahīñ
yahī ab musībat hai rāhat nahīñ
tirī aarzū se to huuñ be-umīd
tujhe bhuul jā.ūñ ye qudrat nahīñ
unheñ naaz hai husn par apne yuuñ
ki un se sivā ḳhūb-sūrat nahīñ
mile vo na mujh ko to kyā ho gayā
ḳhudā jāntā hai ki hasrat nahīñ
mohabbat meñ sab hī pareshāñ rahe
ye sun kar unheñ tum se ulfat nahīñ
vo vā'de pe apne na aa.e kabhī
yahī un kī 'ādat hai ġhaflat nahīñ
vahāñ ḳhud na jaanā ai 'bāsir' kabhī
ki mahbūb ke dar pe 'izzat nahīñ
mujhe dil ke arman se fursat nahin
yahi ab musibat hai rahat nahin
teri aarzu se to hun be-umid
tujhe bhul jaun ye qudrat nahin
unhen naz hai husn par apne yun
ki un se siwa KHub-surat nahin
mile wo na mujh ko to kya ho gaya
KHuda jaanta hai ki hasrat nahin
mohabbat mein sab hi pareshan rahe
ye sun kar unhen tum se ulfat nahin
wo wa'de pe apne na aae kabhi
yahi un ki 'adat hai ghaflat nahin
wahan KHud na jaana ai 'basir' kabhi
ki mahbub ke dar pe 'izzat nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.