mujhe duniya walo sharabi na samjho main pita nahin hun pilai gai hai

mujhe duniya walo sharabi na samjho main pita nahin hun pilai gai hai
Shakeel Badayuni
MORE BYShakeel Badayuni
mujhe duniyā vaalo sharābī na samjho maiñ piitā nahīñ huuñ pilā.ī ga.ī hai
jahāñ be-ḳhudī meñ qadam laḌkhaḌā.e vahī raah mujh ko dikhā.ī ga.ī hai
nashe meñ huuñ lekin mujhe ye ḳhabar haiñ ki is zindagī meñ sabhī pī rahe hai
kisī ko mile haiñ chhalakte piyāle kisī ko nazar se pilā.ī ga.ī hai
kisī ko nasha hai jahāñ meñ ḳhushī kā kisī ko nasha hai ġham-e-zindagī kā
koī pī rahā hai lahū aadmī kā har ik dil meñ mastī rachā.ī ga.ī hai
zamāne ke yaaro chalan haiñ nirāle yahāñ tan haiñ ujle magar dil haiñ kaale
ye duniyā hai duniyā yahāñ māl-o-zar meñ diloñ kī ḳharābī chhupā.ī ga.ī hai
mujhe duniya walo sharabi na samjho main pita nahin hun pilai gai hai
jahan be-KHudi mein qadam laDkhaDae wahi rah mujh ko dikhai gai hai
nashe mein hun lekin mujhe ye KHabar hain ki is zindagi mein sabhi pi rahe hai
kisi ko mile hain chhalakte piyale kisi ko nazar se pilai gai hai
kisi ko nasha hai jahan mein KHushi ka kisi ko nasha hai gham-e-zindagi ka
koi pi raha hai lahu aadmi ka har ek dil mein masti rachai gai hai
zamane ke yaro chalan hain nirale yahan tan hain ujle magar dil hain kale
ye duniya hai duniya yahan mal-o-zar mein dilon ki KHarabi chhupai gai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.