mujhe hoti hai aziyyat baDi tayyari mein
mujhe hotī hai aziyyat baḌī tayyārī meñ
us ke kapḌe haiñ abhī tak mirī almārī meñ
haal aisā hai mirī jaan bichhaḌ kar tujh se
jaise achchhā nahīñ lagtā koī bīmārī meñ
maut hī un ko jagā.e to jagā.e sāhib
log mashġhūl haiñ ḳhvāboñ kī ḳharīdārī meñ
mujhe maarā hai mirī saarī tamannāoñ ne
rahm-dil koī nahīñ lashkar-e-tātārī meñ
log ḳhush-bāsh haiñ kitne na.ī colony ke
aur parinde haiñ daraḳhtoñ kī azā-dārī meñ
bārish-e-dard-e-judā.ī kabhī ruktī hī nahīñ
raat din rahtā huuñ maiñ sher kī sarshārī meñ
maiñ ne kahnā hai bas itnā hī mire dost ki dost
bante āsānī meñ haiñ khulte haiñ dushvārī meñ
mālik-e-tuḳhm-e-tamanna ne chhupā rakkhā thā
merī ta.amīr kā rasta mirī mismārī meñ
mere ik dost ne jab merī jaḌeñ kaaTī thiiñ
kahīñ masrūf thā us din maiñ shajar-kārī meñ
mujhe hoti hai aziyyat baDi tayyari mein
us ke kapDe hain abhi tak meri almari mein
haal aisa hai meri jaan bichhaD kar tujh se
jaise achchha nahin lagta koi bimari mein
maut hi un ko jagae to jagae sahib
log mashghul hain KHwabon ki KHaridari mein
mujhe mara hai meri sari tamannaon ne
rahm-dil koi nahin lashkar-e-tatari mein
log KHush-bash hain kitne nai colony ke
aur parinde hain daraKHton ki aza-dari mein
barish-e-dard-e-judai kabhi rukti hi nahin
raat din rahta hun main sher ki sarshaari mein
main ne kahna hai bas itna hi mere dost ki dost
bante aasani mein hain khulte hain dushwari mein
malik-e-tuKHm-e-tamanna ne chhupa rakkha tha
meri tamir ka rasta meri mismari mein
mere ek dost ne jab meri jaDen kaTi thin
kahin masruf tha us din main shajar-kari mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.