mujhe ek ik baras ek ik ghaDi malum hoti hai
mujhe ek ik baras ek ik ghaDi malum hoti hai
Maseehullah Khan Ataa
MORE BYMaseehullah Khan Ataa
mujhe ik ik baras ik ik ghaḌī mā'lūm hotī hai
shab-e-furqat qayāmat se baḌī mā'lūm hotī hai
jhaḌī ashkoñ kī motī kī laḌī mā'lūm hotī hai
nihāñ āñkhoñ meñ hiire kī kanī mā'lūm hotī hai
nasīhat āj-kal aisī burī mā'lūm hotī hai
bajā.e dostī ke dushmanī mā'lūm hotī hai
javānī par vo aa.e haiñ sitam karne to do un ko
haqīqat ishq-bāzī kī abhī mā'lūm hotī hai
bharosa us but-e-ayyār ke va.ade pe hai tum ko
janāb-e-dil mujhe to ye taḌī mā'lūm hotī hai
sudharnā ab bahut dushvār hai hālāt-e-ālam kā
qayāmat tak yahī ab gaḌ-baḌī mā'lūm hotī hai
jo dekhā jaa.e to puure na utreñge kisī mad meñ
musalmānoñ meñ koī ik kamī mā'lūm hotī hai
jo muñh se kah diyā apne use puurā hī kar diije
isī se to zabāñ kī puḳhtagī mā'lūm hotī hai
yaqīñ aatā nahīñ un ko 'atā' merī mohabbat kā
mire dil kī lagī bhī dil-lagī mā'lūm hotī hai
mujhe ek ek baras ek ek ghaDi ma'lum hoti hai
shab-e-furqat qayamat se baDi ma'lum hoti hai
jhaDi ashkon ki moti ki laDi ma'lum hoti hai
nihan aankhon mein hire ki kani ma'lum hoti hai
nasihat aaj-kal aisi buri ma'lum hoti hai
bajae dosti ke dushmani ma'lum hoti hai
jawani par wo aae hain sitam karne to do un ko
haqiqat ishq-bazi ki abhi ma'lum hoti hai
bharosa us but-e-ayyar ke wade pe hai tum ko
janab-e-dil mujhe to ye taDi ma'lum hoti hai
sudharna ab bahut dushwar hai haalat-e-alam ka
qayamat tak yahi ab gaD-baDi ma'lum hoti hai
jo dekha jae to pure na utrenge kisi mad mein
musalmanon mein koi ek kami ma'lum hoti hai
jo munh se kah diya apne use pura hi kar dije
isi se to zaban ki puKHtagi ma'lum hoti hai
yaqin aata nahin un ko 'ata' meri mohabbat ka
mere dil ki lagi bhi dil-lagi ma'lum hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.