mujhe in chhatriyon se yaad aaya
mujhe in chhatriyoñ se yaad aayā
tumheñ kuchh bārishoñ se yaad aayā
baham aa.ī havā aur raushnī bhī
qafas bhī khiḌkiyoñ se yaad aayā
mirī kashtī meñ us ne jaan dī thī
mujhe in sāhiloñ se yaad aayā
maiñ tere saath chalnā chāhtā thā
tirī baisākhiyoñ se yaad aayā
hazāroñ chāhne vaale the is ke
vo jangal panchhiyoñ se yaad aayā
badan par phuul murjhāne lage haiñ
tumhāre nāḳhunoñ se yaad aayā
mujhe in chhatriyon se yaad aaya
tumhein kuchh barishon se yaad aaya
baham aai hawa aur raushni bhi
qafas bhi khiDkiyon se yaad aaya
meri kashti mein us ne jaan di thi
mujhe in sahilon se yaad aaya
main tere sath chalna chahta tha
teri baisakhiyon se yaad aaya
hazaron chahne wale the is ke
wo jangal panchhiyon se yaad aaya
badan par phul murjhane lage hain
tumhaare naKHunon se yaad aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.