mujhe is chaman ka bhala chahiye
mujhe is chaman kā bhalā chāhiye
har ik phuul mujh ko khilā chāhiye
sabhī kī umīdoñ ke sahrā ko ab
bahāroñ kā ik silsila chāhiye
zamīñ dījiye yā ḳhalā dījiye
maiñ mujrim huuñ ab faisla chāhiye
shajar kī asīrī sahūñ kab talak
paroñ ko mire hausla chāhiye
maiñ ḳhud ko bujhā duuñ bhale dosto
magar har charāġhāñ jalā chāhiye
ġham-e-ishq ke tājiro sun bhī lo
hameñ tum se ab fāsla chāhiye
maiñ muddat se tanhā huuñ is raah meñ
mujhe ab koī qāfila chāhiye
mujhe is chaman ka bhala chahiye
har ek phul mujh ko khila chahiye
sabhi ki umidon ke sahra ko ab
bahaaron ka ek silsila chahiye
zamin dijiye ya KHala dijiye
main mujrim hun ab faisla chahiye
shajar ki asiri sahun kab talak
paron ko mere hausla chahiye
main KHud ko bujha dun bhale dosto
magar har charaghan jala chahiye
gham-e-ishq ke tajiro sun bhi lo
hamein tum se ab fasla chahiye
main muddat se tanha hun is rah mein
mujhe ab koi qafila chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.