mujhe jis ne mara hai wo dil yahi hai
mujhe jis ne maarā hai vo dil yahī hai
vo dushman yahī hai vo qātil yahī hai
kabhī the bhare is meñ armān lākhoñ
aur ab koī dekhe ki vo dil yahī hai
mujhe le gayā shauq jab un ke dar par
pukārī ajal kū-e-qātil yahī hai
tirī aañkh ḳhud kar rahī hai ishārā
ki muñh chuum lene ke qābil yahī hai
ye sab jānte haiñ ki tum ho masīhā
samajhte haiñ ye bhī ki qātil yahī hai
ye rut ye havā.eñ ye bādal ye bijlī
piyo khul ke duniyā kā hāsil yahī hai
phañsī kashti-e-dil jo girdāb-e-ġham meñ
to qismat pukārī ki sāhil yahī hai
jise kas ke juuḌe meñ bāñdhā hai tum ne
hazāroñ meñ kah duuñ mirā dil yahī hai
samajhne lage mujh ko dushman se baḌh kar
mire dil lagāne kā hāsil yahī hai
gale mil ke mujh se shab-e-vasl bole
ki furqat kī rātoñ kā hāsil yahī hai
jo 'gustāḳh' pahuñche bahisht-e-barīñ meñ
to samjhe ki navvāb castle yahī hai
mujhe jis ne mara hai wo dil yahi hai
wo dushman yahi hai wo qatil yahi hai
kabhi the bhare is mein arman lakhon
aur ab koi dekhe ki wo dil yahi hai
mujhe le gaya shauq jab un ke dar par
pukari ajal ku-e-qatil yahi hai
teri aankh KHud kar rahi hai ishaara
ki munh chum lene ke qabil yahi hai
ye sab jaante hain ki tum ho masiha
samajhte hain ye bhi ki qatil yahi hai
ye rut ye hawaen ye baadal ye bijli
piyo khul ke duniya ka hasil yahi hai
phansi kashti-e-dil jo girdab-e-gham mein
to qismat pukari ki sahil yahi hai
jise kas ke juDe mein bandha hai tum ne
hazaron mein kah dun mera dil yahi hai
samajhne lage mujh ko dushman se baDh kar
mere dil lagane ka hasil yahi hai
gale mil ke mujh se shab-e-wasl bole
ki furqat ki raaton ka hasil yahi hai
jo 'gustaKH' pahunche bahisht-e-barin mein
to samjhe ki nawwab castle yahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.