mujhe jis ne mera pata diya wo gham-e-nihan mere sath hai
mujhe jis ne merā patā diyā vo ġham-e-nihāñ mire saath hai
mirī zindagī mirī raushnī dil-be-amāñ mire saath hai
mirā kārvāñ jo bichhaḌ gayā mire dil kā naqsh bigaḌ gayā
maiñ huuñ ik musāfir gum-shuda so yahī fuġhāñ mire saath hai
isī aarzū kī taḌap liye yūñhī phir rahā huuñ maiñ dar-ba-dar
vahī ḳhaak hai mire sar meñ bhī vahī āsmāñ mire saath hai
ye jo aañkh aaj chhalak uThī mire dil kā bhed hī khul gayā
maiñ samajh rahā thā ye ab talak ġham-e-be-nishāñ mire saath hai
jo ga.e dinoñ pe uThī nazar mire dil ne ḳhud ye kahā mujhe
maiñ kisī tilism-kade meñ huuñ koī dāstāñ mire saath hai
baḌī muddatoñ ke ba.ad jo ab tirī yaad aa.ī to yuuñ lagā
sar-e-dasht-e-vahshat zindagī koī mehrbāñ mire saath hai
yahī soch kar maiñ huuñ mutma.in tahī-dast phir bhī nahīñ huuñ maiñ
mire dost go ki chale ga.e ġham-e-dostāñ mire saath hai
kisī taal par kisī taan par mirī ruuh aaj hai vajd meñ
mirā vahm hai ki haqīqatan koī naġhma-ḳhvāñ mire saath hai
ye ajab rañg-e-mizāj hai magar ab yahī mujhe raas hai
kabhī DhūñDhtā huuñ maiñ ḳhud ko bhī kabhī ik jahāñ mire saath hai
mujhe jis ne mera pata diya wo gham-e-nihan mere sath hai
meri zindagi meri raushni dil-be-aman mere sath hai
mera karwan jo bichhaD gaya mere dil ka naqsh bigaD gaya
main hun ek musafir gum-shuda so yahi fughan mere sath hai
isi aarzu ki taDap liye yunhi phir raha hun main dar-ba-dar
wahi KHak hai mere sar mein bhi wahi aasman mere sath hai
ye jo aankh aaj chhalak uThi mere dil ka bhed hi khul gaya
main samajh raha tha ye ab talak gham-e-be-nishan mere sath hai
jo gae dinon pe uThi nazar mere dil ne KHud ye kaha mujhe
main kisi tilism-kade mein hun koi dastan mere sath hai
baDi muddaton ke baad jo ab teri yaad aai to yun laga
sar-e-dasht-e-wahshat zindagi koi mehrban mere sath hai
yahi soch kar main hun mutmain tahi-dast phir bhi nahin hun main
mere dost go ki chale gae gham-e-dostan mere sath hai
kisi tal par kisi tan par meri ruh aaj hai wajd mein
mera wahm hai ki haqiqatan koi naghma-KHwan mere sath hai
ye ajab rang-e-mizaj hai magar ab yahi mujhe ras hai
kabhi DhunDhta hun main KHud ko bhi kabhi ek jahan mere sath hai
- Book : Tabani (Pg. 119)
- Author : Mubeen Mirza
- Publication : Academy Bazyaft (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.