mujhe jo ru-baru dekha karenge
mujhe jo rū-barū dekhā kareñge
yaqīnan 'ishq se tauba kareñge
na jaane peT kī ḳhātir yuuñ kab tak
galā ham ḳhvāb kā ghoñTā kareñge
taraf-dārī abhī jo kar rahe haiñ
vahī kirdār ko mailā kareñge
kisī din haar jā.eñgī ye sāñseñ
ham aise maut kā pīchhā kareñge
inheñ fan kā koī matlab batā.e
ye kab tak reel par mujrā kareñge
laboñ ko chūmne ke daur meñ ham
tumhāre haath par bosa kareñge
zamāne ke sabhī dardoñ ko likh kar
ġhazal ke naam par bechā kareñge
mujhe jo ru-baru dekha karenge
yaqinan 'ishq se tauba karenge
na jaane peT ki KHatir yun kab tak
gala hum KHwab ka ghonTa karenge
taraf-dari abhi jo kar rahe hain
wahi kirdar ko maila karenge
kisi din haar jaengi ye sansen
hum aise maut ka pichha karenge
inhen fan ka koi matlab batae
ye kab tak reel par mujra karenge
labon ko chumne ke daur mein hum
tumhaare hath par bosa karenge
zamane ke sabhi dardon ko likh kar
ghazal ke nam par becha karenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.