mujhe koi kyon sameTe meri raushni mein kya hai
mujhe koī kyoñ sameTe mirī raushnī meñ kyā hai
vo charāġh-e-rahguzar huuñ jo pas-e-sahar jalā hai
koī aisā hādisa ho ki mujhī ko dafn kar de
jo taras-taras ke barse vo ġhubār-e-dard kyā hai
tire zehn kā dhuāñ bhī na chhupā sakā vo manzar
jise kaaT kar girāyā vo shajar vahīñ khaḌā hai
mujhe kyā dikhā rahe ho mirā dāġh-e-nā-rasā.ī
mirī justujū se pūchho koī rāsta bachā hai
mujhe Dar hai āsmāñ bhī kahīñ zad meñ aa na jaa.e
tah-e-ḳhāk jo lahū hai vo zamīñ kī badduā hai
tire tesha-e-junūñ se haiñ lahū-lahū chaTāneñ
are kuchh to sochnā thā tah-e-sang aa.ina hai
tujhe bhūlne meñ shāyad mirī umr biit jaa.e
tujhe bhūlne se pahle mujhe ḳhud ko bhūlnā hai
na kahīñ kitāb meñ huuñ na kisī ke dil meñ 'qaisar'
maiñ ḳhayāl-e-rā.egāñ huuñ mujhe kaun sochtā hai
mujhe koi kyon sameTe meri raushni mein kya hai
wo charagh-e-rahguzar hun jo pas-e-sahar jala hai
koi aisa hadisa ho ki mujhi ko dafn kar de
jo taras-taras ke barse wo ghubar-e-dard kya hai
tere zehn ka dhuan bhi na chhupa saka wo manzar
jise kaT kar giraya wo shajar wahin khaDa hai
mujhe kya dikha rahe ho mera dagh-e-na-rasai
meri justuju se puchho koi rasta bacha hai
mujhe Dar hai aasman bhi kahin zad mein aa na jae
tah-e-KHak jo lahu hai wo zamin ki baddua hai
tere tesha-e-junun se hain lahu-lahu chaTanen
are kuchh to sochna tha tah-e-sang aaina hai
tujhe bhulne mein shayad meri umr bit jae
tujhe bhulne se pahle mujhe KHud ko bhulna hai
na kahin kitab mein hun na kisi ke dil mein 'qaisar'
main KHayal-e-raegan hun mujhe kaun sochta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.