mujhe koī pareshānī nahīñ hai
ki merā ishq lā-fānī nahīñ hai
abhī to apnī nīñdeñ so rahā hai
abhī terā koī saanī nahīñ hai
vo Thukrā de ki ab dar se uThā de
hameñ bhī shauq-e-darbānī nahīñ hai
ḳhudā jaane kahāñ Thahre hue haiñ
palaT jaane meñ āsānī nahīñ hai
ye bastī Dūbne vaalī hai shāyad
kisī kī aañkh meñ paanī nahīñ hai
ye kaisā dasht hai dasht-e-mohabbat
yahāñ sab kuchh hai vīrānī nahīñ hai
mukammal hai ye ḳhud meñ yuuñ bhī 'āsim'
mohabbat misra-e-sānī nahīñ hai
mujhe koi pareshani nahin hai
ki mera ishq la-fani nahin hai
abhi to apni ninden so raha hai
abhi tera koi sani nahin hai
wo Thukra de ki ab dar se uTha de
hamein bhi shauq-e-darbani nahin hai
KHuda jaane kahan Thahre hue hain
palaT jaane mein aasani nahin hai
ye basti Dubne wali hai shayad
kisi ki aankh mein pani nahin hai
ye kaisa dasht hai dasht-e-mohabbat
yahan sab kuchh hai virani nahin hai
mukammal hai ye KHud mein yun bhi 'asim'
mohabbat misra-e-sani nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.