mujhe kuchh bhi nahin hua ai dost
mujhe kuchh bhī nahīñ huā ai dost
ādatan huuñ bujhā bujhā ai dost
maiñ mizājan ḳhamosh rahtā huuñ
maiñ kisī se nahīñ ḳhafā ai dost
dosh qismat ko de diyā maiñ ne
mujh se jab kuchh na ban paḌā ai dost
kyā mujhe vo azīz-az-jāñ hai
maiñ ne jis ko gañvā diyā ai dost
ḳhud-farebī meñ mubtalā huuñ maiñ
kaun mujh sā hai bevafā ai dost
lauT jā.ūñ maiñ shahr-e-ḳhvāb ai kaash
dasht meñ dil nahīñ lagā ai dost
dost apnā koī nahīñ 'kāshif'
kyā kisī ko pukārnā ai dost
mujhe kuchh bhi nahin hua ai dost
aadatan hun bujha bujha ai dost
main mizajan KHamosh rahta hun
main kisi se nahin KHafa ai dost
dosh qismat ko de diya main ne
mujh se jab kuchh na ban paDa ai dost
kya mujhe wo aziz-az-jaan hai
main ne jis ko ganwa diya ai dost
KHud-farebi mein mubtala hun main
kaun mujh sa hai bewafa ai dost
lauT jaun main shahr-e-KHwab ai kash
dasht mein dil nahin laga ai dost
dost apna koi nahin 'kashif'
kya kisi ko pukarna ai dost
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.