mujhe laga meri qismat mein hai likha patthar
mujhe lagā mirī qismat meñ hai likhā patthar
jo mere sar pe kisī sū se aa girā patthar
kisī se jabki mirī koī dushmanī bhī nahīñ
ye kis ne aa ke mirī raah meñ rakhā patthar
vo aañsū jis ko kabhī log gul samajhte the
jo merī aañkh se Tapkā to ho gayā patthar
zamāne mo'jiza-e-haq to tū ne dekhā hai
nabī ke hukm se jab bolne lagā patthar
jo aa.ine ko muqābil meñ rakh diyā maiñ ne
kisī ne taish meñ aa kar uThā liyā patthar
sitam-zarīfī-e-hālāt ke sabab 'adnān'
jo shaḳhs mom kī sūrat thā ho gayā patthar
mujhe laga meri qismat mein hai likha patthar
jo mere sar pe kisi su se aa gira patthar
kisi se jabki meri koi dushmani bhi nahin
ye kis ne aa ke meri rah mein rakha patthar
wo aansu jis ko kabhi log gul samajhte the
jo meri aankh se Tapka to ho gaya patthar
zamane mo'jiza-e-haq to tu ne dekha hai
nabi ke hukm se jab bolne laga patthar
jo aaine ko muqabil mein rakh diya main ne
kisi ne taish mein aa kar uTha liya patthar
sitam-zarifi-e-haalat ke sabab 'adnan'
jo shaKHs mom ki surat tha ho gaya patthar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.