mujhe malum hai beja lagegi
mujhe mā'lūm hai bejā lagegī
agar har shab shab-e-vā'da lagegī
bazāhir sab ko be-parvā lagegī
jo titlī phuul kī joyā lagegī
hai guzrā kāmyābī se agar hijr
to us kī bad-du'ā bhī kyā lagegī
yahī hogā vo raushan fikr laḌkī
khule bandoñ gale se aa lagegī
classic 'ishq hai merā tū mujh ko
mirī vaalī madhūbālā lagegī
maiñ hoñToñ se vo āñkheñ chuum lūñgā
ye kashtī ab lab-e-dariyā lagegī
kahā 'ishrat' ne chaudah farvarī ko
hamārī lottery ab kyā lagegī
mujhe ma'lum hai beja lagegi
agar har shab shab-e-wa'da lagegi
bazahir sab ko be-parwa lagegi
jo titli phul ki joya lagegi
hai guzra kaamyabi se agar hijr
to us ki bad-du'a bhi kya lagegi
yahi hoga wo raushan fikr laDki
khule bandon gale se aa lagegi
classic 'ishq hai mera tu mujh ko
meri wali madhubaala lagegi
main honTon se wo aankhen chum lunga
ye kashti ab lab-e-dariya lagegi
kaha 'ishrat' ne chaudah farwari ko
hamari lottery ab kya lagegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.