mujhe milne mahinon baad aai ho badhai ho
mujhe milne mahīnoñ baad aa.ī ho badhā.ī ho
machāyā shor yāroñ ne badhā.ī ho badhā.ī ho
idhar maiñ bhī bikhere jā rahā huuñ har taraf jalva
udhar tum bhī har ik mahfil meñ chhā.ī ho badhā.ī ho
agar baalī ke jaisā vo nikal jaa.e to la.anat hai
magar laxman ke jaisā jis ka bhaa.ī ho badhā.ī ho
vo jis ke paas daulat aur shohrat ho badhā.ī kyā
vo jis ke haath meñ terī kalā.ī ho badhā.ī ho
mujhe milne mahinon baad aai ho badhai ho
machaya shor yaron ne badhai ho badhai ho
idhar main bhi bikhere ja raha hun har taraf jalwa
udhar tum bhi har ek mahfil mein chhai ho badhai ho
agar baali ke jaisa wo nikal jae to lanat hai
magar laxman ke jaisa jis ka bhai ho badhai ho
wo jis ke pas daulat aur shohrat ho badhai kya
wo jis ke hath mein teri kalai ho badhai ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.