mujhe miTata raha hai ye aasman bahut
mujhe miTātā rahā hai ye āsmān bahut
magar zamīñ pe haiñ ab bhī mire nishān bahut
hai lutf kuchh to hai mere jadīd lahje meñ
qadīm varna hai merī bhī dāstān bahut
talāsh ho bhī to kyā sāya-e-shajar kī mujhe
mire liye hai ye sūraj kā sā.ebān bahut
ab aage un ke diloñ meñ hai kyā ḳhudā jaane
nazar to aate haiñ ye log mehrbān bahut
ajab nahīñ ki maiñ dariyā na paar kar pā.ūñ
shikasta hai mirī kashtī kā bādbān bahut
bahā.e pyaar ne chashme hazār-hā lekin
hai saḳht ab bhī tire dard kī chaTān bahut
patā nahīñ ye mujhe āj-kal huā kyā hai
maiñ apnī zaat se 'ḳhāvar' huuñ bad-gumān bahut
mujhe miTata raha hai ye aasman bahut
magar zamin pe hain ab bhi mere nishan bahut
hai lutf kuchh to hai mere jadid lahje mein
qadim warna hai meri bhi dastan bahut
talash ho bhi to kya saya-e-shajar ki mujhe
mere liye hai ye suraj ka saeban bahut
ab aage un ke dilon mein hai kya KHuda jaane
nazar to aate hain ye log mehrban bahut
ajab nahin ki main dariya na par kar paun
shikasta hai meri kashti ka baadban bahut
bahae pyar ne chashme hazar-ha lekin
hai saKHt ab bhi tere dard ki chaTan bahut
pata nahin ye mujhe aaj-kal hua kya hai
main apni zat se 'KHawar' hun bad-guman bahut
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.