mujhe nasib usi se to kuchh KHushi hai na
mujhe nasīb usī se to kuchh ḳhushī hai nā
libās-e-dard meñ malbūs zindagī hai nā
diye lahū se jalā ke jo maiñ ne rakkhe the
galī galī meñ to ghar ghar meñ raushnī hai nā
qadam qadam pe mile haiñ jo dard ke lashkar
ruḳh-e-hayāt pe phir aks-e-bebasī hai nā
ġham-e-hayāt tumheñ kis tarah nazar aa.e
dil-o-nazar pe jamī gard-e-gumrahī hai nā
kabhī kabhī koī mujh se ye pūchh letā hai
makān-e-dil meñ vo mehmān ajnabī hai nā
mirā jo ek hī sajda qubūl ho jaa.e
mire liye to vo merāj-e-bandagī hai nā
ye dard-o-karb ye huzn-o-malāl meñ Duubī
bahut latīf sī 'anvar' kī shā.erī hai nā
mujhe nasib usi se to kuchh KHushi hai na
libas-e-dard mein malbus zindagi hai na
diye lahu se jala ke jo main ne rakkhe the
gali gali mein to ghar ghar mein raushni hai na
qadam qadam pe mile hain jo dard ke lashkar
ruKH-e-hayat pe phir aks-e-bebasi hai na
gham-e-hayat tumhein kis tarah nazar aae
dil-o-nazar pe jami gard-e-gumrahi hai na
kabhi kabhi koi mujh se ye puchh leta hai
makan-e-dil mein wo mehman ajnabi hai na
mera jo ek hi sajda qubul ho jae
mere liye to wo meraj-e-bandagi hai na
ye dard-o-karb ye huzn-o-malal mein Dubi
bahut latif si 'anwar' ki shaeri hai na
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.