mujhe pattharon se baDh kar teri ek kali ne mara
mujhe pattharoñ se baḌh kar tirī ik kalī ne maarā
mujhe dushmanoñ se baḌh kar tirī dostī ne maarā
ġham-e-rozgār sah kar maiñ to jī rahā thā phir bhī
mire nā-tavān dil ko tirī āshiqī ne maarā
na gila karūñ na shikva na zamāne kā na terā
mujhe merī bad-nasībī mirī bebasī ne maarā
na hī tīr-e-nīm-kash ne na hī bijliyoñ ne maarā
mire nā-tavān dil ko tirī sādgī ne maarā
mire zaḳhm ke jharoke tire dard se haiñ raushan
isī darja lā-davā kī mujhe raushnī ne maarā
mujhe maut kā nahīñ ġham vo to aa.egī yaqīnan
jise ham gale lagā.e usī zindagī ne maarā
mujhe pattharon se baDh kar teri ek kali ne mara
mujhe dushmanon se baDh kar teri dosti ne mara
gham-e-rozgar sah kar main to ji raha tha phir bhi
mere na-tawan dil ko teri aashiqi ne mara
na gila karun na shikwa na zamane ka na tera
mujhe meri bad-nasibi meri bebasi ne mara
na hi tir-e-nim-kash ne na hi bijliyon ne mara
mere na-tawan dil ko teri sadgi ne mara
mere zaKHm ke jharoke tere dard se hain raushan
isi darja la-dawa ki mujhe raushni ne mara
mujhe maut ka nahin gham wo to aaegi yaqinan
jise hum gale lagae usi zindagi ne mara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.