mujhe ras aa gai hai yahi haalat-e-pareshan
mujhe raas aa ga.ī hai yahī hālat-e-pareshāñ
kabhī shaam shaam bijlī kabhī gaam gaam tūfāñ
mirī shaam gul-badāmāñ mirī shab shab-e-charāġhāñ
tire dam qadam se kyā kyā hai faroġh-e-āh-e-sozāñ
maiñ jahāñ jahāñ bhī Thahrā shab-e-tār ke sahāre
vahī raqs-e-āhuāñ thā sar-e-dāman-e-bayābāñ
dil-e-zār de sañbhālā ki rah-e-vafā kaThin hai
kahīñ rahguzar ke kāñTe mujhe kar na deñ pashemāñ
isī raushnī se lekin vo hikāyateñ haiñ zinda
mire dost bujh na jaa.e ye charāġh-e-ahd-o-paimāñ
ba-hazār sarfaroshī vo nazar nibhā rahā huuñ
mujhe ye nahīñ gavāra ki ho ḳhvāb-e-ġham pareshāñ
mujhe aasrā hai 'nāzish' ki abhī nahīñ to aage
mire ḳhūn-e-dil se hogā rah-e-shauq meñ charāġhāñ
mujhe ras aa gai hai yahi haalat-e-pareshan
kabhi sham sham bijli kabhi gam gam tufan
meri sham gul-badaman meri shab shab-e-charaghan
tere dam qadam se kya kya hai farogh-e-ah-e-sozan
main jahan jahan bhi Thahra shab-e-tar ke sahaare
wahi raqs-e-ahuan tha sar-e-daman-e-bayaban
dil-e-zar de sanbhaala ki rah-e-wafa kaThin hai
kahin rahguzar ke kanTe mujhe kar na den pasheman
isi raushni se lekin wo hikayaten hain zinda
mere dost bujh na jae ye charagh-e-ahd-o-paiman
ba-hazar sarfaroshi wo nazar nibha raha hun
mujhe ye nahin gawara ki ho KHwab-e-gham pareshan
mujhe aasra hai 'nazish' ki abhi nahin to aage
mere KHun-e-dil se hoga rah-e-shauq mein charaghan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.