mujhe ranj hoga na maut ka agar aisi maut nasib ho
mujhe ranj hoga na maut ka agar aisi maut nasib ho
Purnam Allahabadi
MORE BYPurnam Allahabadi
mujhe ranj hogā na maut kā agar aisī maut nasīb ho
mirā dam jo nikle to ai ḳhudā mire paas merā habīb ho
hai abas davāoñ kā sochnā na tū fikrmand tabīb ho
tū ilaaj us kā karegā kyā jo marīz-e-ishq-e-habīb ho
kar asiir mujh ko ba-sad-ḳhushī magar itnī arz bhī sun mirī
vahāñ qaid kar ki qafas mirā mire āshiyāñ ke qarīb ho
jise tere husn kī ho ḳhabar vahī chashm-e-ishq hai mo'tabar
baḌī ḳhush-nasīb hai vo nazar tirī diid jis ko nasīb ho
shab-o-roz 'purnam'-e-ġham-zada rahe dard-e-dil meñ jo mubtalā
vo qarār paa.e to kis tarah use chain kaise nasīb ho
mujhe ranj hoga na maut ka agar aisi maut nasib ho
mera dam jo nikle to ai KHuda mere pas mera habib ho
hai abas dawaon ka sochna na tu fikrmand tabib ho
tu ilaj us ka karega kya jo mariz-e-ishq-e-habib ho
kar asir mujh ko ba-sad-KHushi magar itni arz bhi sun meri
wahan qaid kar ki qafas mera mere aashiyan ke qarib ho
jise tere husn ki ho KHabar wahi chashm-e-ishq hai mo'tabar
baDi KHush-nasib hai wo nazar teri did jis ko nasib ho
shab-o-roz 'purnam'-e-gham-zada rahe dard-e-dil mein jo mubtala
wo qarar pae to kis tarah use chain kaise nasib ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.