mujhe rulate hain KHud muskurae jate hain
mujhe rulate hain KHud muskurae jate hain
Nazeer Mohammad Arzu Jaipuri
MORE BYNazeer Mohammad Arzu Jaipuri
mujhe rulāte haiñ ḳhud muskurā.e jaate haiñ
hañsī hañsī meñ vo mujh ko miTā.e jaate haiñ
ye un kī bazm hai kyā kaam sham-e-sozāñ kā
yahāñ charāġh nahīñ dil jaa.e jaate haiñ
kuchh is qadar hameñ majbūr kar diyā dil ne
ki baar baar vahāñ bin bulā.e jaate haiñ
ye kis ko dekh liyā kaun jalva-farmā hai
ki mere qalb-o-nazar jagmagā.e jaate haiñ
shabāb kahte haiñ kis ko sukūn shai kyā hai
ye qisse roz mujhe kyoñ sunā.e jaate haiñ
vo ḳhush-nasīb haiñ kitne jahān-e-ulfat meñ
jo bazm-e-nāz meñ un kī bulā.e jaate haiñ
jo bach rahe the havādis ke tund jhoñke se
vo chaar tinke bhī mere jalā.e jaate haiñ
mujhe rulate hain KHud muskurae jate hain
hansi hansi mein wo mujh ko miTae jate hain
ye un ki bazm hai kya kaam sham-e-sozan ka
yahan charagh nahin dil jae jate hain
kuchh is qadar hamein majbur kar diya dil ne
ki bar bar wahan bin bulae jate hain
ye kis ko dekh liya kaun jalwa-farma hai
ki mere qalb-o-nazar jagmagae jate hain
shabab kahte hain kis ko sukun shai kya hai
ye qisse roz mujhe kyon sunae jate hain
wo KHush-nasib hain kitne jahan-e-ulfat mein
jo bazm-e-naz mein un ki bulae jate hain
jo bach rahe the hawadis ke tund jhonke se
wo chaar tinke bhi mere jalae jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.