mujhe sanbhaalne se peshtar wo mera tha
mujhe sañbhālne se peshtar vo merā thā
ye rog pālne se peshtar vo merā thā
vahī ḳhudā jo kahīñ āsmāñ meñ rahtā hai
du'ā.eñ Tālne se peshtar vo merā thā
mujhe talāsh hai us nā-murād sikke kī
jise uchhālne se peshtar vo merā thā
mire savāl use mujh se duur karte ga.e
mire khañgālne se peshtar vo merā thā
tamām shahr use dekh dekh jiitā hai
ye zo'm pālne se peshtar vo merā thā
uḌaan bharte hī panchhī ye baat bhuul gayā
ki par nikālne se peshtar vo merā thā
mujhe sanbhaalne se peshtar wo mera tha
ye rog palne se peshtar wo mera tha
wahi KHuda jo kahin aasman mein rahta hai
du'aen Talne se peshtar wo mera tha
mujhe talash hai us na-murad sikke ki
jise uchhaalne se peshtar wo mera tha
mere sawal use mujh se dur karte gae
mere khangalne se peshtar wo mera tha
tamam shahr use dekh dekh jita hai
ye zo'm palne se peshtar wo mera tha
uDan bharte hi panchhi ye baat bhul gaya
ki par nikalne se peshtar wo mera tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.