mujhe sawal ki sharmindagi se uljhan thi
mujhe savāl kī sharmindagī se uljhan thī
vo mere pūchhe binā har javāb rakhtā thā
hamāre hijr ke mausam guzārne ke liye
sirhāne apne mirī ik kitāb rakhtā thā
vo bhuul jaatā thā ḳhud par sitam jo ho jaa.eñ
magar jo mujh pe hoñ saare hisāb rakhtā thā
mirī thakī huī āñkhoñ meñ pyaas rahtī thī
vo ḳhvāb ḳhvāb sī āñkhoñ meñ aab rakhtā thā
use pata thā mujhe lafz chhoḌ jaate haiñ
so merī ruuh se aksar ḳhitāb rakhtā thā
ye mard-o-zan ke tafarqoñ se us ko nafrat thī
vo har safar meñ mujhe ham-rikāb rakhtā thā
mujhe sawal ki sharmindagi se uljhan thi
wo mere puchhe bina har jawab rakhta tha
hamare hijr ke mausam guzarne ke liye
sirhane apne meri ek kitab rakhta tha
wo bhul jata tha KHud par sitam jo ho jaen
magar jo mujh pe hon sare hisab rakhta tha
meri thaki hui aankhon mein pyas rahti thi
wo KHwab KHwab si aankhon mein aab rakhta tha
use pata tha mujhe lafz chhoD jate hain
so meri ruh se aksar KHitab rakhta tha
ye mard-o-zan ke tafarqon se us ko nafrat thi
wo har safar mein mujhe ham-rikab rakhta tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.