mujhe suno ki hadis-e-ghazal-numa hun main
mujhe suno ki hadīs-e-ġhazal-numā huuñ maiñ
mujhe paḌho varaq-e-mus.haf-e-vafā huuñ meñ
milegī is meñ tumheñ apne dil kī dhaḌkan bhī
kisī ke qalb-e-shikasta kī ik sadā huuñ maiñ
tamām raat jo laḌtā rahā añdheroñ meñ
harīm-e-ishq kā vo āḳhirī diyā huuñ maiñ
baḌhā huā hai zamāne meñ kārobār kā qad
ki apne qad se bhī kuchh aur ghaT gayā huuñ maiñ
har ek miltā hai mujh se ab ajnabī kī tarah
ḳhud apne shahr meñ begāna ban gayā huuñ maiñ
ab apnī shakl bhī pahchān meñ nahīñ aatī
kabhī jo bhūle se ā.īna dekhtā huuñ maiñ
na falsafī na mufakkir na mujtahid na ḳhatīb
'vafā' ye kuchh bhī nahīñ huuñ magar vafā huuñ maiñ
mujhe suno ki hadis-e-ghazal-numa hun main
mujhe paDho waraq-e-mushaf-e-wafa hun mein
milegi is mein tumhein apne dil ki dhaDkan bhi
kisi ke qalb-e-shikasta ki ek sada hun main
tamam raat jo laDta raha andheron mein
harim-e-ishq ka wo aaKHiri diya hun main
baDha hua hai zamane mein karobar ka qad
ki apne qad se bhi kuchh aur ghaT gaya hun main
har ek milta hai mujh se ab ajnabi ki tarah
KHud apne shahr mein begana ban gaya hun main
ab apni shakl bhi pahchan mein nahin aati
kabhi jo bhule se aaina dekhta hun main
na falsafi na mufakkir na mujtahid na KHatib
'wafa' ye kuchh bhi nahin hun magar wafa hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.