mujhe tanhai mein aksar mila hai
mujhe tanhā.ī meñ aksar milā hai
ḳhayāloñ meñ vahī dilbar milā hai
yuuñ milne ke Thikāne aur bhī haiñ
kabhī chhajje kabhī chhat par milā hai
vo mere sang thā be-fikr kitnā
ki ġham meñ bhī sadā hañs kar milā hai
koī to vaj.h hogī kuchh to hogā
kisī se aaj vo chhup kar milā hai
dikhāyā ḳhud ko jab se aa.ina hai
milā jo bhī mujhe behtar milā hai
mujhe tanhai mein aksar mila hai
KHayalon mein wahi dilbar mila hai
yun milne ke Thikane aur bhi hain
kabhi chhajje kabhi chhat par mila hai
wo mere sang tha be-fikr kitna
ki gham mein bhi sada hans kar mila hai
koi to wajh hogi kuchh to hoga
kisi se aaj wo chhup kar mila hai
dikhaya KHud ko jab se aaina hai
mila jo bhi mujhe behtar mila hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.