mujhe tha tujhse kabhi pyar jhuT bola tha
mujhe thā tujh se kabhī pyaar jhuuT bolā thā
hai jhuuT ye bhī ki dil-dār jhuuT bolā thā
ye jhuuT bolā ki rātoñ meñ jāgtā huuñ maiñ
tumhārī yaad meñ ai yaar jhuuT bolā thā
na-jāne kaise ḳhalāoñ meñ kho gayā yaaro
yaqīn maano chamakdār jhuuT bolā thā
safed sach ko bhī parkhā zamāne vāloñ ne
safed jhuuT ki har baar jhuuT bolā thā
isī liye to chamak thī hamāre dhande meñ
huzūr ham ne lagātār jhuuT bolā thā
phir is ke baa'd mohabbat talāsh kartā rahā
anā meñ ho ke giraftār jhuuT bolā thā
thī gol-mol hamārī bhī guftugū lekin
'ajīb us ne bhī ḳhamdār jhuuT bolā thā
ḳhushī ke naam pe dukh ham ne bech Daale the
ḳhafā thā ham se ḳharīdār jhuuT bolā thā
use ḳhabar thī ta'alluq bhī TuuT saktā hai
tabhī to us ne samajh-dār jhuuT bolā thā
maiñ jāntā thā haqīqat isī liye maiñ ne
tumhārā ban ke taraf-dār jhuuT bolā thā
ab itnī baat pe kyoñ hashr tum uThāte ho
ki tum se kah to diyā yaar jhuuT bolā thā
thī us kī bazm meñ phir bhī kyoñ kaḌkaḌāhaT sī
agarche ham ne mazedār jhuuT bolā thā
hamāre sar pe hai ilzām be-vafā.ī kā
magar thā tū bhī sazā-vār jhuuT bolā thā
zarā sī baat pe dīvār toḌne chale ho
koī nahīñ pas-e-dīvār jhuuT bolā thā
har ek baat tumhārī thī mo'tabar jaanī
alag ye baat ki har baar jhuuT bolā thā
phir is ke baa'd to 'ādat sī ban ga.ī 'ārif'
zarā sā bas yūñhī ik baar jhuuT bolā thā
mujhe tha tujh se kabhi pyar jhuT bola tha
hai jhuT ye bhi ki dil-dar jhuT bola tha
ye jhuT bola ki raaton mein jagta hun main
tumhaari yaad mein ai yar jhuT bola tha
na-jaane kaise KHalaon mein kho gaya yaro
yaqin mano chamakdar jhuT bola tha
safed sach ko bhi parkha zamane walon ne
safed jhuT ki har bar jhuT bola tha
isi liye to chamak thi hamare dhande mein
huzur hum ne lagatar jhuT bola tha
phir is ke ba'd mohabbat talash karta raha
ana mein ho ke giraftar jhuT bola tha
thi gol-mol hamari bhi guftugu lekin
'ajib us ne bhi KHamdar jhuT bola tha
KHushi ke nam pe dukh hum ne bech Dale the
KHafa tha hum se KHaridar jhuT bola tha
use KHabar thi ta'alluq bhi TuT sakta hai
tabhi to us ne samajh-dar jhuT bola tha
main jaanta tha haqiqat isi liye main ne
tumhaara ban ke taraf-dar jhuT bola tha
ab itni baat pe kyon hashr tum uThate ho
ki tum se kah to diya yar jhuT bola tha
thi us ki bazm mein phir bhi kyon kaDkaDahaT si
agarche hum ne mazedar jhuT bola tha
hamare sar pe hai ilzam be-wafai ka
magar tha tu bhi saza-war jhuT bola tha
zara si baat pe diwar toDne chale ho
koi nahin pas-e-diwar jhuT bola tha
har ek baat tumhaari thi mo'tabar jaani
alag ye baat ki har bar jhuT bola tha
phir is ke ba'd to 'adat si ban gai 'arif'
zara sa bas yunhi ek bar jhuT bola tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.