mujhe to jam-o-mai-o-gul ka intizar nahin
mujhe to jam-o-mai-o-gul ka intizar nahin
Abdul Majeed Dard Bhopali
MORE BYAbdul Majeed Dard Bhopali
mujhe to jām-o-mai-o-gul kā intizār nahīñ
maiñ ḳhud bahār huuñ mere liye bahār nahīñ
huzūr-e-ishq agar husn be-qarār nahīñ
shab-e-firāq koī lutf-e-intizār nahīñ
ba-qadr-e-zarf diyā jaam sab ko saaqī ne
ye baat vo hai hameñ jis kā e.atibār nahīñ
maiñ aap apnī hī manzil kā ḳhizr-e-manzil huuñ
junūñ meñ koī bhī merā sharīk-e-kār nahīñ
hayāt-o-maut pe ham tabsire kareñ kaise
hayāt-o-maut pe jab koī iḳhtiyār nahīñ
hujūm-o-yās ke aalam meñ dard-e-furqat meñ
ba-juz tumhāre koī aur rāzdār nahīñ
tilism-e-zīst ne kuchh aise gul khilā.e haiñ
ki ab nazar meñ koī qīmat-e-bahār nahīñ
jo dard baḳhshā hai tum ne usī pe nāzāñ haiñ
matā-e-zīst nahīñ fikr-e-rozgār nahīñ
mujhe to jam-o-mai-o-gul ka intizar nahin
main KHud bahaar hun mere liye bahaar nahin
huzur-e-ishq agar husn be-qarar nahin
shab-e-firaq koi lutf-e-intizar nahin
ba-qadr-e-zarf diya jam sab ko saqi ne
ye baat wo hai hamein jis ka eatibar nahin
main aap apni hi manzil ka KHizr-e-manzil hun
junun mein koi bhi mera sharik-e-kar nahin
hayat-o-maut pe hum tabsire karen kaise
hayat-o-maut pe jab koi iKHtiyar nahin
hujum-o-yas ke aalam mein dard-e-furqat mein
ba-juz tumhaare koi aur raazdar nahin
tilism-e-zist ne kuchh aise gul khilae hain
ki ab nazar mein koi qimat-e-bahaar nahin
jo dard baKHsha hai tum ne usi pe nazan hain
mata-e-zist nahin fikr-e-rozgar nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.