mujhe to KHud nahin malum hai ki kya hun main
mujhe to ḳhud nahīñ mā'lūm hai ki kyā huuñ maiñ
kisī ke jalvoñ meñ gum ho ke rah gayā huuñ maiñ
mire sukūt ko sirf ahl-e-dil hī samjheñge
ḳhamosh rah ke baḌī baat kah gayā huuñ maiñ
mujhe na sun ki samā'at pe terī baar na ho
shikasta-sāz kī bikhrī huī sadā huuñ maiñ
nahīñ hai zulmat-e-shab hī muhīb mere liye
ki chāñdnī meñ bhī aksar taḌap gayā huuñ maiñ
har ik se pūchhtā phirtā huuñ tere ghar kā pata
tirī talāsh meñ dīvāna ho gayā huuñ maiñ
hayāt-o-maut kī uljhan meñ mubtalā ho kar
tirī nigāh ke andāz dekhtā huuñ maiñ
qadam milā ke chalūñ bhī to kaise maiñ 'bismil'
ki tez-rau hai zamāna shikasta-pā huuñ maiñ
mujhe to KHud nahin ma'lum hai ki kya hun main
kisi ke jalwon mein gum ho ke rah gaya hun main
mere sukut ko sirf ahl-e-dil hi samjhenge
KHamosh rah ke baDi baat kah gaya hun main
mujhe na sun ki sama'at pe teri bar na ho
shikasta-saz ki bikhri hui sada hun main
nahin hai zulmat-e-shab hi muhib mere liye
ki chandni mein bhi aksar taDap gaya hun main
har ek se puchhta phirta hun tere ghar ka pata
teri talash mein diwana ho gaya hun main
hayat-o-maut ki uljhan mein mubtala ho kar
teri nigah ke andaz dekhta hun main
qadam mila ke chalun bhi to kaise main 'bismil'
ki tez-rau hai zamana shikasta-pa hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.