mujhe to ranj qaba-ha-e-tar-tar ka hai
mujhe to ranj qabā-hā-e-tār-tār kā hai
ḳhizāñ se baḌh ke guloñ par sitam bahār kā hai
koī nigāh to qindīl sirf manzil kī
charāġh-e-dil koī har ek rahguzār kā hai
har ek zarre ko hai āftāb kī taufīq
har ek qatre meñ imkān ābshār kā hai
hazār rang subūhī meñ sau fusūñ gul meñ
magar jo ruup lab-o-āriz-e-nigār kā hai
agar nasha hai to saaqī kī mast āñkhoñ meñ
agar maza hai to mahbūb ke kanār kā hai
hamāre ishq kī sanjīdgī pe tanz na kar
hameñ ḳhabar hai magar mas.ala vaqār kā hai
kisī ke vasl ke lamhe bhī ḳhuub the 'shaukat'
magar jo hijr meñ aalam ye intizār kā hai
mujhe to ranj qaba-ha-e-tar-tar ka hai
KHizan se baDh ke gulon par sitam bahaar ka hai
koi nigah to qindil sirf manzil ki
charagh-e-dil koi har ek rahguzar ka hai
har ek zarre ko hai aaftab ki taufiq
har ek qatre mein imkan aabshaar ka hai
hazar rang subuhi mein sau fusun gul mein
magar jo rup lab-o-ariz-e-nigar ka hai
agar nasha hai to saqi ki mast aankhon mein
agar maza hai to mahbub ke kanar ka hai
hamare ishq ki sanjidgi pe tanz na kar
hamein KHabar hai magar masala waqar ka hai
kisi ke wasl ke lamhe bhi KHub the 'shaukat'
magar jo hijr mein aalam ye intizar ka hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.