mujhe to shama ek bujhti hui malum hoti hai
mujhe to sham.a ik bujhtī huī ma.alūm hotī hai
ki jaise saañs har ik āḳhirī ma.alūm hotī hai
tumhārā naam lene se mahaktī hai zabāñ merī
tumhāre tazkaroñ se rut na.ī ma.alūm hotī hai
ye rasta bhī mire hī saath chaltā jā rahā hai kyoñ
mujhe donoñ kī manzil ek hī ma.alūm hotī hai
tire bin aise jiite haiñ ki jaise bojh hoñ ḳhud par
hameñ ye zindagī to maut hī ma.alūm hotī hai
vo aise jhūmtī hai bārishoñ meñ raqs kartī hai
kisī jangal kī jaise mornī ma.alūm hotī hai
tumhīñ batlāo ham is ko judā kaise kareñ 'sāhil'
tumhārī yaad sāñsoñ meñ basī ma.alūm hotī hai
mujhe to shama ek bujhti hui malum hoti hai
ki jaise sans har ek aaKHiri malum hoti hai
tumhaara nam lene se mahakti hai zaban meri
tumhaare tazkaron se rut nai malum hoti hai
ye rasta bhi mere hi sath chalta ja raha hai kyon
mujhe donon ki manzil ek hi malum hoti hai
tere bin aise jite hain ki jaise bojh hon KHud par
hamein ye zindagi to maut hi malum hoti hai
wo aise jhumti hai barishon mein raqs karti hai
kisi jangal ki jaise morni malum hoti hai
tumhin batlao hum is ko juda kaise karen 'sahil'
tumhaari yaad sanson mein basi malum hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.