mujhe to ye bhi fareb-e-hawas lagta hai
mujhe to ye bhī fareb-e-havās lagtā hai
vagarna kaun añdheroñ meñ saath chaltā hai
bikhar chukī jaras-e-kārvān-e-gul kī sadā
ab us ke baa'd to vāmāñdgī kā vaqfa hai
jo dekhiye to sabhī kārvāñ meñ shāmil haiñ
jo sochiye to safar meñ har ek tanhā hai
kise ḳhabar ki ye duurī kā bhed kyā shai hai
qadam uThāo to rasta bhī saath chaltā hai
ubhar rahe haiñ jo manzar fareb-e-manzar haiñ
jo khul rahā hai darīcha to vahm apnā hai
talab to kar kise mā'lūm kāmgār bhī ho
zamāna aib-o-hunar ab kahāñ parakhtā hai
tirī sadā hai ki zulmat meñ raushnī kī lakīr
tirā badan hai ki naġhmoñ kā dil dhaḌaktā hai
udāsiyoñ ko na chhūne de phuul sā paikar
abhī kuchh aur tujhe ahl-e-ġham pe hañsnā hai
mirī vafā pe bhī ai dost e'tibār na kar
mujhe bhī terī tarah sab se pyaar karnā hai
ye pūchhnā hai ki ġhairoñ se kyā milā tujh ko
tirī jafā kī shikāyat to kaun kartā hai
chaman chaman hai agar gul-fishāñ to kyā kiije
hameñ to apne ḳharābe ko hī palaTnā hai
ye ek chaap jo barsoñ meñ sun rahā huuñ maiñ
koī to hai jo yahāñ aa ke luuT jaatā hai
mujhe to ye bhi fareb-e-hawas lagta hai
wagarna kaun andheron mein sath chalta hai
bikhar chuki jaras-e-karwan-e-gul ki sada
ab us ke ba'd to wamandgi ka waqfa hai
jo dekhiye to sabhi karwan mein shamil hain
jo sochiye to safar mein har ek tanha hai
kise KHabar ki ye duri ka bhed kya shai hai
qadam uThao to rasta bhi sath chalta hai
ubhar rahe hain jo manzar fareb-e-manzar hain
jo khul raha hai daricha to wahm apna hai
talab to kar kise ma'lum kaamgar bhi ho
zamana aib-o-hunar ab kahan parakhta hai
teri sada hai ki zulmat mein raushni ki lakir
tera badan hai ki naghmon ka dil dhaDakta hai
udasiyon ko na chhune de phul sa paikar
abhi kuchh aur tujhe ahl-e-gham pe hansna hai
meri wafa pe bhi ai dost e'tibar na kar
mujhe bhi teri tarah sab se pyar karna hai
ye puchhna hai ki ghairon se kya mila tujh ko
teri jafa ki shikayat to kaun karta hai
chaman chaman hai agar gul-fishan to kya kije
hamein to apne KHarabe ko hi palaTna hai
ye ek chap jo barson mein sun raha hun main
koi to hai jo yahan aa ke luT jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.