mujhe tu qaid se apni rihai kyon nahin deta
mujhe tū qaid se apnī rihā.ī kyoñ nahīñ detā
agar tū hai judā to phir judā.ī kyoñ nahīñ detā
zarūrat kyā mujhe tum ko tabī'at se bulāne kī
tumhāre dil ki dhaḌkan huuñ sunā.ī kyoñ nahīñ detā
kisī shīshe ke jaise kyā khaḌā hai sāmne mere
shikāyat sun rahā hai tū safā.ī kyoñ nahīñ detā
agar chhū le to patthar dil pighal ke mom ho jaa.e
hamāre haath ko vaisī rasā.ī kyoñ nahīñ detā
tire ujḌe makāñ se hī banāyā hai mahal us ne
badhā.ī de rahā hai tū duhā.ī kyoñ nahīñ detā
mujhe tu qaid se apni rihai kyon nahin deta
agar tu hai juda to phir judai kyon nahin deta
zarurat kya mujhe tum ko tabi'at se bulane ki
tumhaare dil ki dhaDkan hun sunai kyon nahin deta
kisi shishe ke jaise kya khaDa hai samne mere
shikayat sun raha hai tu safai kyon nahin deta
agar chhu le to patthar dil pighal ke mom ho jae
hamare hath ko waisi rasai kyon nahin deta
tere ujDe makan se hi banaya hai mahal us ne
badhai de raha hai tu duhai kyon nahin deta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.