mujhe wo kaifiyat apni batane kyun nahin aaya
mujhe vo kaifiyat apnī batāne kyuuñ nahīñ aayā
tujhe ma.alūm to hogā zamāne kyuuñ nahīñ aayā
vo sūraj hai to phir us ke na aane kā sabab kyā hai
mire saa.e se milne ke bahāne kyuuñ nahīñ aayā
maiñ us ko khīñchtī hī rah ga.ī lekin na aayā vo
vo merā saañs thā aur saañs jaane kyuuñ nahīñ aayā
mirī ḳhālī kalā.ī kah rahī hai iid kī shab ko
vo ab tak chūḌiyāñ le kar na jaane kyuuñ nahīñ aayā
bahut da.avā thā us ko dil kī baazī jiit jaane kā
to phir is khel meñ mujh ko harāne kyuuñ nahīñ aayā
darīcha khol ke kab se sarāpā gosh baiThī huuñ
koī mausam tirī bāteñ sunāne kyoñ nahīñ aayā
vo kahtā thā ki us kī guftugū hai aa.ine jaisī
to phir chehra mirā mujh ko dikhāne kyuuñ nahīñ aayā
mujhe wo kaifiyat apni batane kyun nahin aaya
tujhe malum to hoga zamane kyun nahin aaya
wo suraj hai to phir us ke na aane ka sabab kya hai
mere sae se milne ke bahane kyun nahin aaya
main us ko khinchti hi rah gai lekin na aaya wo
wo mera sans tha aur sans jaane kyun nahin aaya
meri KHali kalai kah rahi hai id ki shab ko
wo ab tak chuDiyan le kar na jaane kyun nahin aaya
bahut dawa tha us ko dil ki bazi jit jaane ka
to phir is khel mein mujh ko harane kyun nahin aaya
daricha khol ke kab se sarapa gosh baiThi hun
koi mausam teri baaten sunane kyon nahin aaya
wo kahta tha ki us ki guftugu hai aaine jaisi
to phir chehra mera mujh ko dikhane kyun nahin aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.