mujhe wo khel-tamasha dikhai deta hai
mujhe vo khel-tamāshā dikhā.ī detā hai
kahīñ bhī koī jo hañstā dikhā.ī detā hai
kabhī chahaktī thiiñ sadiyāñ yahāñ magar ab to
ik ek lamha sisaktā dikhā.ī detā hai
har ek qatra-e-shabnam ko ugte sūraj kī
kiran kiran meñ añdherā dikhā.ī detā hai
ba-juz hamāre mudāvā koī nahīñ us kā
vo ek dasht jo tanhā dikhā.ī detā hai
khaḌā huā huuñ maiñ us bām-e-zīst par ki jahāñ
har ek dard shanāsā dikhā.ī detā hai
sulagtā dasht hai vo apnī asl meñ lekin
nigāh-e-asr ko dariyā dikhā.ī detā hai
amīr-e-shahr ke dāman ko kyā huā 'arshad'
ki sāmne se darīda dikhā.ī detā hai
mujhe wo khel-tamasha dikhai deta hai
kahin bhi koi jo hansta dikhai deta hai
kabhi chahakti thin sadiyan yahan magar ab to
ek ek lamha sisakta dikhai deta hai
har ek qatra-e-shabnam ko ugte suraj ki
kiran kiran mein andhera dikhai deta hai
ba-juz hamare mudawa koi nahin us ka
wo ek dasht jo tanha dikhai deta hai
khaDa hua hun main us baam-e-zist par ki jahan
har ek dard shanasa dikhai deta hai
sulagta dasht hai wo apni asl mein lekin
nigah-e-asr ko dariya dikhai deta hai
amir-e-shahr ke daman ko kya hua 'arshad'
ki samne se darida dikhai deta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.