mujhe wo shaKHs kitna khal raha hai
mujhe vo shaḳhs kitnā khal rahā hai
jo merā ho ke mujh se jal rahā hai
hue sab dafn jā kar ḳhaak hī meñ
ke bistar jin kā bhī maḳhmal rahā hai
charāġhoñ kī nahīñ mujh ko zarūrat
kisī kī yaad meñ dil jal rahā hai
mujhe sab dekh kar hairāñ haiñ yuuñ bhī
diyā āñdhī meñ kaise jal rahā hai
'jamāl' us kā maiñ sab kuchh chhoḌ aayā
vo apne haath ab kyoñ mal rahā hai
mujhe wo shaKHs kitna khal raha hai
jo mera ho ke mujh se jal raha hai
hue sab dafn ja kar KHak hi mein
ke bistar jin ka bhi maKHmal raha hai
charaghon ki nahin mujh ko zarurat
kisi ki yaad mein dil jal raha hai
mujhe sab dekh kar hairan hain yun bhi
diya aandhi mein kaise jal raha hai
'jamal' us ka main sab kuchh chhoD aaya
wo apne hath ab kyon mal raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.