mujhe yaad hain wo din jo teri bazm mein guzare
mujhe yaad haiñ vo din jo tirī bazm meñ guzāre
vo jhukī jhukī nigāheñ vo dabe dabe ishāre
ye tirā sukūt-e-rangīñ ye adā-e-be-niyāzī
kahīñ bujh ke rah na jaa.eñ mirī ruuh ke sharāre
kabhī shauq-e-zindagī thā kabhī lutf-e-sarḳhushī thā
magar ab to jī rahā huuñ tirī yaad ke sahāre
ye chaman chaman bahāreñ ye ravāñ-davāñ havā.eñ
inheñ kyā samajh sakeñge ġham-e-zindagī ke maare
mujhe kyā sukūn miltā mire ashk kaise thamte
ki machal rahe haiñ dil meñ tire ġham ke tez dhāre
kahīñ hai vajūd-e-sāhil mujhe kaise bāvar aa.e
mirī kashti-e-tamannā na lagī kabhī kināre
shab-e-intizār guzrī mirī zindagī na badlī
vahī 'hosh' mere aañsū vahī Dūbte sitāre
mujhe yaad hain wo din jo teri bazm mein guzare
wo jhuki jhuki nigahen wo dabe dabe ishaare
ye tera sukut-e-rangin ye ada-e-be-niyazi
kahin bujh ke rah na jaen meri ruh ke sharare
kabhi shauq-e-zindagi tha kabhi lutf-e-sarKHushi tha
magar ab to ji raha hun teri yaad ke sahaare
ye chaman chaman bahaaren ye rawan-dawan hawaen
inhen kya samajh sakenge gham-e-zindagi ke mare
mujhe kya sukun milta mere ashk kaise thamte
ki machal rahe hain dil mein tere gham ke tez dhaare
kahin hai wajud-e-sahil mujhe kaise bawar aae
meri kashti-e-tamanna na lagi kabhi kinare
shab-e-intizar guzri meri zindagi na badli
wahi 'hosh' mere aansu wahi Dubte sitare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.