mujhe yaqin hai koi rasta to niklega
mujhe yaqin hai koi rasta to niklega
Chandrashekhar Pandey Shams
MORE BYChandrashekhar Pandey Shams
mujhe yaqīñ hai koī rāsta to niklegā
agar jo kuchh nahīñ niklā ḳhudā to niklegā
maiñ reg-zāroñ meñ dariyā talāsh kartā huuñ
mirī talāsh se ik silsila to niklegā
kitāb-e-zīst ke panne palaT rahā huuñ maiñ
kisī varaq se koī falsafa to niklegā
diye dikhāte raho din meñ aise sūraj ko
jo us ke dil meñ añdherā huā to niklegā
ye soch kar ke chaman meñ lagā dī aag us ne
ke is meñ koī parinda huā to niklegā
sadā.eñ denā mirā kaam hai karūñgā maiñ
koī pahāḌ mirā ham-navā to niklegā
maiñ saare shahr ko ḳhvābīda chhoḌ kar niklā
ke aañkh khulne pe ik rahnumā to niklegā
chalo bhī 'shams' uTho jugnuoñ kī mahfil se
tumhāre baa'd koī mudda'ā to niklegā
mujhe yaqin hai koi rasta to niklega
agar jo kuchh nahin nikla KHuda to niklega
main reg-zaron mein dariya talash karta hun
meri talash se ek silsila to niklega
kitab-e-zist ke panne palaT raha hun main
kisi waraq se koi falsafa to niklega
diye dikhate raho din mein aise suraj ko
jo us ke dil mein andhera hua to niklega
ye soch kar ke chaman mein laga di aag us ne
ke is mein koi parinda hua to niklega
sadaen dena mera kaam hai karunga main
koi pahaD mera ham-nawa to niklega
main sare shahr ko KHwabida chhoD kar nikla
ke aankh khulne pe ek rahnuma to niklega
chalo bhi 'shams' uTho jugnuon ki mahfil se
tumhaare ba'd koi mudda'a to niklega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.